Pages

Monday, 17 March 2014

Qaul (Quotation) of huzoor Gaus Pak

IRSHADAAT E HAZRAT SHAIKH ABDUL QADIR JEELANI RAZIALLAHO TA'LLA ANHO


  1. Zalim Apne Zulm Se Mazloom Ki Duniya Kharab Karta Hai Aur Apni Aakhirat.
  2. Wo Insan kitna Bad Naseeb hai jis ke Dil Mein Jandaron par rahem karne ki aadat nahi.
  3. Jis Amal (Ibadat,Riyazat,Neki)Mein Tujhe Halawat Na Mile,Yun Samajh ke tu ne use Kiya hi Nahi.
  4. Behtareen Amal Logon ko Dena Hai,Logon Se Lena Nahin Hai.
  5. Bad Gumani Tamam Faaidon ke Raaste Band Kar Deti Hai.
  6. Tamam Acchaiyon Ka Majmooa Ilm Seekhna,Amal Karna,Aur Doosron Ko Sikhana Hai.
  7. Tere Sab Se Bade Dushman Tere Bure Hamnasheen Hai.
  8. Tu Nafs Ki Tamanna Poori Karne Me Mashgool hai.Aur Nafs Tujhe Barbaad Karne me.
  9. Khuda Ke Dushmano Ko Khush Rakhna Aqal Wa Danish Se Dur Hai.
  10. Apni Musibat ko Chhupao ALLAH TA'ALA ki Qurbat Naseeb Hogi.
  11. Fitna Hai Wo Rozi Jis Par Shukr na ho,Aur Wo Tangi Jis Par Sabr Na Ho.
  12. Momin Apne Ahle o Ayal Ko ALLAH Per Chodta Hai Aur Munafiq Zar o Maal Par.
  13. Aqal Mand Pehle Qalb Se Mashwara Karta Hai Phir Zaban Se Bolta Hai.
  14. Jo ALLAH TA'ALA Se Aashna Huwa.Us Ne Khalq e Khuda Ke Saath Tawazo Ka Bartaw Kiya.

No comments:

Post a Comment