Bismillahir Rehmanir Raheem
GHAIR–MUQALLID FIRQON KE NAAM KI HAQEEQAT:
Hindustan ki Taareekh me Angrezon ke Daur se pehle
Ahl-e-Qur'an wa Ahl-e- Hadees, ye dono Alfaz Ahl-e-Sunnat Wal Jama't
(Hanafi, Shaafa’I, Hanbali, Maaliki) ke 2 Ilmi Tibqon par istemal hotey
the.. Aur Aaj bhi yehi Alfaaz hote hain.
1. Ahl-e-Qur'an: se asal muraad Huffaaz wa Mufassireen ki Jama’t hai.
2. Ahl-e-Hadees: se asal muraad Hazraate Muhaddiseen ki Jama’t hai.
Aur waqt ke sath Ye dono Alfaaz Qur’an wa Ahaadees ka Dars
dene walon ke liye iste’mal hone lagey. Ya’ni Un Hazraat ke liye
iste’maal hone lagey Jo Qur’an wa Ahaadees ke HAAFIZ hain aur inka DARS
dete hain. Har Aam Aadmi ke liye ye Lafz iste’maal nahi hote the.
Aur Aaj ka Firqa-e-Jadeed Naam Nihaad Ahl-e-Hadees, Haqeeqi
Ahl-e- Hadees Nahi hain. Na to inka Rishta kisi Muhaddis se judta hai Na
ye Ahaadees ke Haafiz hain.
Haqeeqat to Ye hai ke Is firqa-e-Jadeed Naam Nihaad
Ahl-e-Hadees ke maanne wale log to Tark-e-Taqleed (Taqleed ko chhor) kar
ke Apne Aap ko Naam Nihaad Ahle-Hadees se Jod liya hai.
(Aap logon ko Aksar ye sunne me aata hoga ke Ghair-Muqallid
kehta hai ke Main bhi Pehle Hanafi tha, Ab TAQLEED chhor kar
Ahl-e-Hadees ban gaya hu waghera). Aur phir logon me SHOR machaate hain
ke Ye to HAQEEQI Ahl-e- Hadees hain Chaahe Usey Qur’an ya Hadees ka ek
Lafz bhi padhna na aata ho (Anpadh hone ki wajah se).
Inke haan! Shart bas yehi hai ke bas TAQLEED chhoro aur
(Naam Nihaad) MUHADDIS ban jao aur Ulema’-e-Deen ko JAHANNAMI kaho. Phir
Ahl-e-Qur'an, Jama'tul Muslimeen ke log bhi hain. Aur aise bohat
saare Ghair-Muqallid firqe’ hain Jo Apne Naam ka iste’maal kar ke Logon
ko Gumraah karne ki Saazishein rachte hain.
3. Jama'tul Muslimeen: se asal muraad Musalmano ki jama't hai Jisme har Kalimah go shamil hai.
Jab Angrezon ka daur Hindustan me aaya tab yun hua ke.. Jo
La-Mazhab Munkareen-e-Hadees the Unko Ahl-e-Qur'an kaha jaane laga
aur Jo La-Mazhab, Munkareen-e-Fiqh aur NAFS-PARAST the, Unko
Ahl-e-Hadees kaha jaane laga jabke Asal me toh inka amal Ahl-e-Hadis
Nafsi ka hai kyonke Ye NAFS ke mutabiq wali Ahaadees per amal karte hain
aur NAFS ke khilaf wali Ahaadees ko SHAHEED karte hain.
Aur Jama’tul Muslimeen, Ghurba’ Ahl-e- Hadees ek aur
ghair-Muqallid firqe’ se pada hua ek firqa’ hai Jo Khud ko Muslim
samajhta hai aur baqyon ko Ghair-Muslim.
1. Ahl-e-Qur'an: Ye asal me toh Ahadis ke hi munkar hain.
Kehte hain Ahadees ki kitabein, Nabi (Sallallahu Alaihi Wa Sallam)
ki wafat ke 200 saal ba'd likhi gayi hain, isliye in par aitmad Nahi.
[Surah Ahzab:21] me Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wa
Sallam) ki zindagi ko Qayamat tak tamam Insano ke liye Behtareen Namuna
qarar diya hai.
Ab bechare Ek toh hain Ghair Muqallid oopar se Ahadees ke
Munkar to Nabi (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ki Mubarak Zindagi kaise
ma'loom karengey.? Becharon ka Amal Qur’an per bhi nahi ho raha hai.
Waise Meri mulaqaat 2 Ghair Muqallid firqon se hui hai Ek
toh Ahl-e-Hadis aur Doosre Jama'tul Muslimeen. Naam Nihaad Ahl-e-Qur’an
se to Kabhi aamna-saamna nahi hua hai. To Mai In do firqe’ (Naam Nihaad
Ahl-e- Hadees wa Jama’tul Muslimeen) ke dhoke Aap ke saamne rakhne
ki koshish karta hu.
2. Jama'tul Muslimeen: Ye log Hadees pesh karte hain
[Bukhari wa Muslim] ke hawale se Huzaifa (raz.) se marvi, Hadees ka
maf’hoom hai: “Jamatul Muslimeen aur iske Imam ko lazim pakad lo aur
Tamam firqe (Ahle Hadis, Ahle Quran, Shia, Qadyani, Hanafi, Shafi'i,
Maliki etc.) se alag ho jao.”
Aur ek Hadees Haakim ke hawale se bhi pesh karte hain
Mafhoom hadis hai ke: “...Jisne apne aap ko Jamatul Muslimeen se alag
kar liya goya usne apne Galey se Islam ka patta utaar diya.” Ya’ni Is
firqe’ se Jo bhi ab tak Nahi Judey hue hain (Ahl-e-Hadees,
Hanafi, Shaafa’I, Hanbali waghera) goya Wo Sab ke Sab MUSHRIK hain.
(Na’oozu billah)
Firqae Ahl-e-Hadees ki tarah Ye bhi apne ilawa kisi ko
Musalman nahi jaantey. Abhi decide nahi kiya hai ke Mazaaheb-e-SALAF ke
maanne walon ko BID’ATI kahein ya MUSHRIK. Inme ba’z kehte hain TAQLEED
Shirk hai aur ba’z BID’AT.
Algharz, Jab ke asal me Hadees ka maf'hoom hai: “Agar
Musalmano ki koi Jama't aur inka Imam ho to Usko lazim pakad lo aur
Musalmano ki koi jama't na ho to tamam firqon se alag ho kar Jungle me
chale jao yahan tak ke wahin par maut aa jaye.”
Ye log Tamam Hadees ke lafz ka Urdu me Tarjumah karte hain
sivaye lafz “Jama’tul Muslimeen” ke.. Jabke Jamatul Muslimeen se
murad Musalmano ki kisi bhi muttahid Jama't ko lazim pakadne ka hai.
Hafiz Ibne Hajar (rah.) [Fatahul Baari] me likhte hain:
“Imam se murad Khalifa ya Ameerul Mu'mineen hai. Isi tarah hadees me
Firqon se muraad wo tamam firqe hain jo Ahle Sunnat se hatey hue hain.”
Mullah Ali Qari Hanafi (rah.) Likhte hain ke: “Tamam firqo
se alag ho jao ya’ni Un Gumrah firqon se Jo Ahle Sunnat wal Jama't ke
tareeqe ke khilaf hain.” (Mirqat 10/10)
Aur Qur’an wa Hadees ke maahir Ulema’ ka Qur'an wa Hadees ki
roshni me is par ittefaq hai ke Hanafi, Shafia'i, Maliki, Hanbali
Haqeeqi Ahle Sunnat hain. Harmeen Shareefain me bhi in 4 Mazaheb ke
ilawa kisi aur firqe’ ka Musallah nahi hua. Ahl-e-Hadees Naam ka koi
Musallah maujood hi na tha kyonke Is firqe’ ka Wujood to ANGREZON ke
daur me aaya. Aur jab Saudi Arabia me NAJADI Hukumat Qayem hui toh, Un
logon ne 3 Musallon ko wahan se nikaal diya. Per ab bhi wahan Ahle
Sunnat, Hanablah ka Musallah baqi hai.
3. Ahl-e-Hadis: Ab La Mazhab, Ahl-e-Hadees bhi Jama'tul
Muslimeen se peeche nahi hain. Inko Jahan kahin bhi Ahl-e- Hadees lafz
mil jaye Chaahe Qur’an wa Ahaadees se ho ya phir Ulema’-e-Deen ke Aqwaal
se ho Usey SEENE se laga lete hain aur har tarah se Logon ko dhoka dete
hue is Lafz ‘Ahl-e-Hadees’ ko Apne se Jod lete hain Jabke Unhein Ye
Khoob pata hai ke ya to Unhone Ya unke Waalid ne ya Daada ne
Tark-e-Taqleed karke firqa Ahle-Hadees se apna rishta qayem kiya hai. Is
tarah Rishta jodne se kya koi Haqeeqi Ahl-e-Hadis ho jayega.?
Agar koi Khud ko Musalman kahta hai aur Shirk karta hai to,
Kya Wo Musalman baaqi rahega.? Hargiz nahi. Naam se Kuch nahi hota hai
balke Sab kuch Amal se hota hai.
Ye log ARABIYON ko Dhoka dene ke liye Khud ko SALAFI
kehlaate hain kyonke ARABIYON ke paas Ahl-e- Hadees ka lafz iste’maal
karega to Pakra jo Jaayega kyonke Wo to Ahl-e- hadees Lafz ke Saheeh
Matlab wa Ma’ne se achhi tarah waaqif hote hain.
SALAF ke Mazaheb ke Munkareen hain aur in MAZAAHEB ko 72
Jahannami Firqon me shumaar karne waale JAAHIL Khud ko SALAFI
kehalwaate dekh Ta’jjub hota hai. Inko Na to SHIYON se Koi Baer hai
na QADYANIO se. Bas Hanafiyon ko hi Gumraah sabit karna inka
MEHBOOB Mashghala’ ban gaya hai. Isiliye to Inke Mullaon ki likhi 98%
Kitabein AHNAAF ke khilaaf hain.
Kuch Naam Nihaad, Ahl-e-Hadees kehte hain ke Imam Abu
Haneefah (rah.) bhi Ghair Muqallid the aur Hum bhi Ghair Muqallid hain,
Kuch kehte hain ke Imam Bukhari wa Muslim (rah.) etc. Ahl-e-Hadis the
aur Hum bhi Ahl-e- Hadis hain.
Aur kuch kehte hain ke Sahaba raz., Taba'een waghera Salaf the, Hum bhi Salafi hain.
Aur Kuch kehte hain ke Hum to sirf Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ki ittiba' karte hain, isliye Hum Muhammadi hain.
Is firqe ne toh itne Naam chun kar apne oopar chuspa kar
liye hain ke koi kam Aql, Jaahil, ye Naam sun kar Tark-e- Taqlid karne
tayyaar ho jayega. Aur kuch Ghair Muqallideen Ahadees se ye sabit karne
ki Koshish karte hain ke fala' fala' Sahabi Ahl-e-Hadees the.
Aur kuch Ghair Muqallid, Qur'an se sabit karne ki koshish
kartey hain. kehte hain ke hamari Jama't ka naam fala' jagah Hadees me
aaya hai fala' jagah Qur'an me aaya hai fala' Muhaddis wa Aalim ne zikr
kiya hai aur humey Firqa- e-Najiyah me shumaar kiya hai. Ye mahaz ek
dhoka hai. Jab ke Ye sab Haqeeqi Ahl-e-Hadeeson ke liye hai Na ke
Nafs-Paraston ke liye.
Kabhi Aimma-e-Araba’ ke Mazaheb ki Taqleed karne waalo ne aisa Lafzon ka Khel Nahi khela hai..
4. Ye Sab kuch bilkul aisa hi hai Jaisa ke Mirza Ghulam
AHMED QADYANI Mal’oon ka apna Naam AHMED Qur'an se kam Aql logon ko
dikha kar Nabuwwat ka da'wa karna..
Sun lo! Ahl-e-Hadees, Jama'tul Muslimeen, Ahl-e-Qur'an aur
Ahmedi, Naam Qur'an wa Ahadees me dikhaane se kya ye tamam firqe Haqq
par ho jayengey.? Ye to 4 firqe’ hain phir Firqa’-e-Naajiyah to Ek hi
hai.?
Aye Ghair Muqallido! Apne firqe ka naam Qur'an wa Ahadis se
dikhane se Tum Ahle Sunnat Wal Jama't me shumar nahi ho jaogey na Tum
Firqa-e-Najiyah me shumaar ho jaogey.. Balke Tumhara Aqidah wa Amal
durust hona chahiye.
Allah ta'la Jama't ke naam dekh kar humey Jannat ya jahannum me Nahi daaqil karega balke hamare A'maal dekh kar..
(Wallaahu Aa’lam bis Sawaab)